Writings so far...

Thursday 29 May 2014

Mumbai Meri Jaan. . .
                                   - Dipti Sudhakar

Aisa shehar, Jahan Kabhi kisi ka Khwab pura ho sakta hain ya pal pal mein choor,
Sadme se paagal ya Khushi se dur...
Hazaron ke beech me Tanhayi aur do dilon ke milne ki tayari...
Sadko par gadhe yahan logon se kam nahi par sarkar ki taakat mein bhi toh koi dumm nahi ...
Beet gaye zindagi ke kayi saal, ab sochte hain dye lagane se kya chamkaenge baal...
Hason, Khelon, Muskuraao yahaan aansuon ki koi kadar nahi...
Bheed me kho gaye he itne sab, ki yaahan ek dusre ki shakal dekhne takk ki fursat nahi...

Chahein ho hazaaro blasts ya  ho desh barbaad yahan ke log uthaenge apna sar aur jeeyenge isi tarah lagaatar...
Kaun kehta hain yahan paiso ki zarurat hain ?
Aath rupye ka vadapav aur paanch rupye ki cutting chai se log apna din guzaar lenge...
Aapke hath kuch aaya toh log aapse Pizza or Burger ki farmaaish maang lenge...

Mehnat na karoge toh is shahar mein tikk na paoge...
Yahan ki dheemi local mein toh apni halat tight karwa doge...
Yeh He Mumbai meri jaan...
Yahan datkar rahoge toh kehlaoge 'super star' mere kadardan !



No comments:

Post a Comment